Pages

Ek Zara si baat pe usne dostana tod diya,

1.Ek Zara si baat pe usne dostana tod diya,

Par itna acha hua ki koi bewafa pehchana to gaya.

2. Kaise ho tum jo chor kar ja rahe ho,

Apne sab kasame waade tod kar ja rahe ho,

Teri wafa par behad yakeen tha mujhko,

Phir kisliye muh mor kar ja rahe ho.

3. Dost kya khoob vafa ka sila dete hai,

Har naye mod par ek jakhm naya dete hai,

Jin par hota hai dil ko bahut bharosa,

Wo hi log aakhiri waqt par daga dete hai.


4. Rim-jhim, rim-jhim paani barsa,

Dekhkar unko mera dil tarsa,

Jhoom utha saawan, tan man par jab saath na paya uska,

To aankhon se paani baarish ki tarah barsa.

5. Mere chehre ki udaasi ko na jaan sake wo
jite ji na hume pehchaan sake wo

de di humne apni jaan unke pyar mey
fir bhi hamari mohobbat ko saccha na maan sake wo

6. Hum jee rahe the unka naam lekar,
Wo gujarte the hamara salaam lekar,

Ek din wo keh gaye bhula do humko,
Humne pucha kaise?

Wo chale gaye hath mein jaam dekar

7. Jab kabhi aapko koi gam sataaye,

Koi baat dil ko na bhaaye,

Aankhen saagar chalkaaye, yaad karke dekhna hame,

Kya pata ek aansu kam ho jaaye.

8. Kisi ne hame aashiq kaha,

Kisi ne hame deewana kaha...

In aankhon me aansu tab aaye,

Jab apno ne hame begana kaha...

9. Kaash samajhte wo is dil ki tadap ko,

To yun na hame rooswa kiya hota...

Aapki yah berukhi bhi manjoor thi hame,

Bas ek baar hame samajh liya hota...

10. jindagi ke is moad pe kaisa waqt aaya hai,
jakham dil ka jubaa pe aaya hai,
nahi roye the kaanto ki chubhhan se,
use aaj phoolon ki khusabu ne rulaya hai.

11 .Jagti aankho me ek khwab aaya,
koi humdard hai mera ye khayal aaya.
chot lagi dil pe toh dhyaan aaya,
kal bhi tanha the aaj bhi khud ko tanha paya.


12. MOHABBAT KE GAM KO, HUM GAM KESE KEH DE,

UNKE SITAM KO, SITAM KESE KEH DE,

VO BEWAFA HE, YE SABHI JAANTE HE,

MAGAR BATAO YAARO YE HUM KESE KEH DE,

No comments:

Post a Comment