Pages

urdu poetry 35

Bhigi hui ankhon ka manzar na milega,

Ghar chod ke mat jao phir ghar na milega,

Anmol sajavat hai ye sharmilee hansi bhi,

Bazaar mein kahin aisa zevar na milega
designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
Nazar kuch zuban kuch,

honth kuch keh jate hain.

Kabhi to suno hamare sine mein chupi us awaz ko,

hum jise 'aap' aur aap jise dhadkan keh jate hain.
designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
Kal phir yahi sama hoga, 

Hum me se kaun na jaane kahan hoga. 

Murjhaye phool to mil jayenge kitabo me,

Par bichde pyar ka shayad hi koi nishaan hoga.
designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
safar-e-wafa ki raah me manzil jafa thi,

kaghaz ka ghar bana ke bhi khuwahish hawa ki thi,

thi jugnoun ke shaher mein taaron sy dushmani,

mashooq chaand tha aur tamana subha ki thi,

tum ne to ibadat ka tamasha diya,

chahat namaz ki thi pr aadat kaza ki thi,

maine to zindgi ko terey naam likha tha,

shayad mgr kuch aur hi mrzi khuda ki thi,

dard hi dena tha do pehly bata detay,

hum ko bhi azzl sy hi tamana ki thi, , ,
designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
har bar tora hay hr kisi ne meri umeed ko mere khaloos ko,

.......................................DOST................................................

hum phr b shikwa nahi krty k anhany me hua ho shayad, ,  ,
designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
wo jo barf tale dabbe hen kuch log,

unhi me kuch dost yaar humare hen,

kuch to hen masoom bachon k baap,

aur kuch apni maa behan k piyare hen,

ay mere ALLAH un sab ko salamt rakhna,

wo apne bhohay maa baap k sahare hen,
............................AMEEN..........................


designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
iss karri dhop mein jaltay hoye paon ki tarah,

tu kisi aur ke aangan aur ke chaon ki tarah,

tu to wqif hay mere hazbon ki sachayi se,

phir q khamosh hy pather ke khudaon ki tarah,

main to khushbo ki tarah sath raha hon tery.

tu bhatakti rahi bechain kawaon ki tarah,

wo jo barbad hoye thy wohi badnam hoye,

tm to masoom rahy apni adaon ki tarah ,

ghum to hy k humein koi khushi raas na ayi  "tanha"

zindagi kaat rahay hain hum sazaon ki tarah,


designed by saddiq ur rehman saddiqi
shaadi hi zindaghi mein sab kuch nahi hotti ishq b bari cheez hai zamane me yaroon poochna hai tu poocho un ashiqoon si jo le kar ishq ki degrian phir b hein halli hath
designed by saddiq ur rehman saddiqi

No comments:

Post a Comment