Pages

December Poetry

    Dil to kahta hai zamane se chura lon tujh ko............

    Dil ki dharkan ki tarha dil mein basa lon tujh ko............

    Koi ahsas judai ka na rahne paye............

    Es tarha khud mein meri jan chupa lon tujh ko............

    Tu jo rothe mujh se mere zindgi k malek.........

    Sari dunia se khfa ho kr mana lon tujhe ko.......

    Jb bhi main daikho tere chahre pe udasi ka sama........

    BAs ye chaho kise tarha hansa lon tujh ko.........


Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ 



         Jo bani ho Mere lye..

          Jis ke lye mai Jee raha hoon...

         Jo kahe Hum saath hain Tere...

         Jise dekhne k liye Tarap raha hoon..

          Ek aisa hi Dildaar chahiye...

          Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye..

             Aane se jis ke Phool bhi Sharma jaye..

             Chalne se jis ke Hawa bhi Tham jaye..

              Ho har Waqt rahe saath mai Mere..

            Chahe saari Duniya Mujh se Rooth jaye..

          Aisa hi kisi ka Aitbaar chahiye..

            Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye..

            is ki ek Hansi k liye..

           Mar jane ko Dil kare..

            Jo kehde ek baar to..

           Phir Jeene ko Dil kare..

             Aisa hi Ek Humsafar chahiye..

              Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye..

           Ek baar mili thi Mujhe woh..

         Par pata nahi kaha kho gayi..

         Ab agar mil jaye toh..

         use kahi jane na doon..

          Wohi khoya Yaar chahiye..

         Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye....


Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
    Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke,

   Ab Phir Laut Aya Hain December,

    Mere Gamo ka mausam Jata Nahi,

    Ya Allah Kuch Mujh Par Karam Kar,

    Jab bhi uski yaad ati hain Mujhko,

    Nahi So Pata Hun Ek Karwat Par,

   Ab tu Sardi bhi nahi lagti december main,

    Nahi Rakhta main ek bhi Kapda Badan Par,

    Allah tu Lauta de phir se wo mahine aur sardiyan,

    Ya phir ye Sara Mamla hi Khatam Kar,


Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

Ye Jo Har Morh Pe Aa Milti Hey Mujh Sey…!!!!!!!
Bad’Naseebi Bhi Kaheen Meri Deewani Toh Nahi…!!


Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

They wonder through the broken streets where once he played

       I may not talk that much to you but♥♥

       You will find me waiting every minute ♥♥


       just to listen to every piece of Your heart ♥♥


        says ♥♥


         I L0ve Y0u ♥♥


+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

    No One Knows How Much....

    I Care About You... ♥


    No One Knows How Much....


    I Think Of You... ♥


    No One Knows How Much....


    I Need You....


    I Miss You &


    I Love You... ♥



+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++


 

Ghazal

Ik baar jo milta hai dubara nahi milta
Itni bari dunya main koi hamara nahi milta

Kis ko banayen apni zindagi ka hamsafar
Hum ko kahin se ishara nahi milta

Har rooz naye naye loog milte hain
Magar koi bhi jaan se piyara nahi milta

Gham k bhanwar main aise phasi hai naao
Pareshan hai is kadar k kinara nahi milta

Muddat k baad tere gali main aaye hain
                                             Ab kis se pochen k tumhara ghar nahi milta


Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++



Ye Jo Berukhi Hy Baja Nahi,Ye Adayen Kyon,Ye Ghuroor Kya?
Ye Guraiz Kis Liye Is Qadar,Ye Khafa Khafa Se Huzoor Kya?

Tjhe Yad Krna Mzaaq Tha,Tjhe Bhool Jana Azab Hai
Ye Saza Hai Jurm-e-Firaaq Ki, Mere Hafzey Ka Qasoor Kya?

Tere Saath Hai Jo Teri Ana,Mere Saath Mera Naseeb Hy
Mujhe Tujh Se Kesi Shikaytein,Tujhe Khud Pe Itna Ghuroor Kya?

Ye Tmhara Chehra Kitab Hai,Isy Parh Raha Hun Main Warq Warq
                        Zara Baat Saada Likha Karo,Ye Muhawron Ki Satoor Kya?

Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

Reza Reza Sapnon Waale,
 Toote Chehre Aadhe loog
Jaan waale kab aatae hian, 
kyun karte hain waade loog

Aas main Bethi Shehzadi ki, 
maang main Chaandi jhank chuki
Itni dair se kyun Aate hain Aakhir ye Shehzade loog??

Piyar ki raah pe ungli thaame, 
andha'dhund chal parte hain
Na Samjhi main mar jaate hain, 
hum se Seedhe sadhe loog

Hum dono main kon hai mujrim, 
ye tey hona Mushkil hai
                                                     Aadha Shehar tha haami uska, 

                                                     sath the mere Aadhy loog.....

Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

Main is umeed pe dooba k tu bacha lega
Ab is k baad mera imtehaan kya lega

Ye aik mela hai waada kisi se kya lega
Dhalega din to har ik apna rasta lega

Main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaonga
Koi chiragh nahi hon jo phir jala lega

Kaleja chahiye dushman se dushmani k lye
Jo be amal hai wo badla kisi se kya lega

Hazar tor k aa jaon us se rishta "Waseem"
Main janta hon wo jab chahega bula lega

Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

Na tha kuch to Khuda tha, Kuch na hota to Khuda hota. Daboya mujhko hone ne na hota mein to kia hota...

Yeah hum tasleem kerte hain....
Tumhien Fursat nahi milti......
Humaray waste tumko.....
Koi sayat nahi milti.....
Humari soch ke mehwar.....
Kabhi ik pal to socho tum.....
Tumhien hum yaad kerte hain......
Aur itna yaad kerte hain......
Ke khud ko bhool jatay hain......

+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
Un ko meri wafaoon ka iqrar bhi nahi....

Aur pocheye tu jurrat-e-inkaar bhi nahi.....

Merey kholoos per jo bharosa na ho tumhain.....

Mujh ko taluqaat pe israr bhi nahi.......

Hain merey ghum-gusaar agar mujh sey bad gumaa.n.....

Main ghum-gusariyoo.n ka talab-gaar bhi nahi.....

Gull kar deye charagh kisi nay tu kya howa.....

Ab roshni sey hum ko sar-o kaar bhi nahi......

Kaam un sey aa para hay muqaddar ki baat hay.....

Hum jin sey guftugu k rawa-daar bhi nahi.......

Un rastoo.n sey ho kar guzar aai zindagi.....

Jin rastoo.n main saya-e dewaar bhi nahi.....

Maazi bohat aziz hay Iqbaal ko magar........

Wo eh'd-e raftagaa.n ka aza-daar bhi nahi.....

+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

Na tha kuch to Khuda tha, Kuch na hota to Khuda hota....
Daboya mujhko hone ne na hota mein to kia hota.....
Huwa jab gham se youn behis to ghum kia sir katnay ka....
Na hota gar juda tan se to zanoon per dhara hota.....
Hoi mudat ke ghalib mar gaya per yaad ata hai.....
Wo her baat per kehna ke youn hota to kia hota.....


++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
 Ho Gayee Rukhsat Ghatta Barish Ke Baad...
Ik Diya Jalta Raha Barish Ke Baad..

Mairay Behtay Aansoon Ko Dekh Ker...
Ro Pari Thandi Hawa Barish Ke Baad...

Mairy Tanhaye Ka Daman Thaam Ker...
Kuch Udassi Ne Kaha Barish Ke Baad...

Yaad Teri Orh Ker Main So Gaya...
Khawab Ka Der Khul Gaya Barish Ke Baad....

Chand Dekh Ker Badloon Ki Qaid Main.....
Ik Sitara Ro Deya Barish Ke Baad.....

Apnay Kachay Ghar Ki Her deewar Per....
Naam Tera Likh Deya Barish Ke Baad........

+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

Ghazal


Zulm seh kar bhi samjhta hon k tu mera hai.....
Mere dushman tere chehre pe lahoo mera hai....

Subha dam shehar ki shorish tere dam se hogi.....
Raat k pichle pehar aalam hoo mera hai.....

Mere hathon main chupe zakham se pehchan mujhay.....
Tere daman pe bhi ahsaan rafoo mera hai........

Ghir gaya hon main talatum main bhi zindaan ki tarah........
Halka-e-mauj rawan touq-e-gulo mera hai........

Itni shohrat bhi kahan chahi thi khud se main ne.......
Apne hi shehar ka har shaks adu hai mera.....
Dhoop chaaon ki ye rut dil main tehar jane de.......
Aks tera hai to saaya lab jo mera hai.......
Patharon se muhabbat mujhay yun bhi hai “Mohsin”........
                                      Sangdil shehar main ik aayena ru mera hai......


Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

soaz-e-gham se jis qader shikwa sada hotay hain log

Aaj bhi tapti dhoop ka sehra
Tere naram laboon ki shabnam
Saye se mehroom raha
Aaj bhi pathar hijer ka lamha, Sadiyoon se bekhawab rutoon ki
Ankhoon ka mehfoom raha
Aaj bhi apne wasal ka tara
Rakh urati shokh shafaq ki mazil se ma'doom raha
Aaj bhi shehar mein pagal dil ko
Teri deed ki Aas rahi
Mudat se ghum-sum tanhye, Aaj bhi mere pass rahi
Aaj bhi sham udas rahi

Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
soaz-e-gham se jis qader shikwa sada hotay hain log.......

jal bujian aur lab na kohlian woh bhi kia hotay hain log................

fasl-e- gul mein saath hai khushboo daman ki tarah.........

ruth badaltie hai to bas moj-e-hawa hotay hain log............

kis ko barham kiejea ilzam kis ko dejea................

naam kis ka leajea sab bea-wafa hotay hain log..................

is ada ka kia tekahna is rawesh ka kia jawab................

baat ranjesh ki na ho phir bhi khafa hotay hain log...............

hum gunahgaroun per ilzam gunahgarie baja................

parsaoun mein bhi kitnay parsa hotay hain log................

ghar gay Iqbal tum rangien kabaoun mein kahan..........

miltay deakho un se jo sada kaba hotay hain log ..............

Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
Wo mera khayal thi, so wo thi.....
Main us ka khayal tha so main tha....
Ab dono khayal mar chuke hain......

Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

Aaj bhi tapti dhoop ka sehra...
Tere naram laboon ki shabnam.....
Saye se mehroom raha.....
Aaj bhi pathar hijer ka lamha, Sadiyoon se bekhawab rutoon ki....
Ankhoon ka mehfoom raha....
Aaj bhi apne wasal ka tara.....
Rakh urati shokh shafaq ki mazil se ma'doom raha....
Aaj bhi shehar mein pagal dil ko.....
Teri deed ki Aas rahi.....
Mudat se ghum-sum tanhye, Aaj bhi mere pass rahi....
Aaj bhi sham udas rahi....


Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

Sukoon



       Jindagi k is daur mein do pal sukoon ki talaash hain....

        Tum muskra k dekh lo bas itni si toh aas hain.....

        Na daulat chahu na shauhrat,khush hu agar tu mere paas hain.....

         jindagi k is daur mein do pal sukoon ki talaash hain.....

        jab mushkilo se hu ghira,man bhi niraash hain.....

        Tu hi toh ek h bas mera ,tujh par hi toh vishwas hain.....

       gam mein doobe is dil ko ek teri hi toh pyaas hain.....

       jindagi k is daur mein do pal sukoon ki talaash hain....

      Sukoon milta tha jo teri meethi baaton mein......

      Aj wohi sukoon khojta hu mein,un bhuli bisri yaadon mein..........

    Yeh dil jinda h mera ,kyunki tujhse hi toh har saans hain.....

    jindagi k is daur mein do pal sukoon ki talaash hain.....

Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

"Safar-e-Ishq"
"Maa'n"
Meri ankhoon se.....
Mut pocho....
Karab ke sumandar ka
Bikherna hai kaisa
Bachpan mein jo sekhaya tha
Guriya ko sajana
Rait se gharwanday banana
Sabar ki char-deewari se
Ansoon se pyar ghondna
Maa'n sab janti ho tum
Meri ankhoon se....
Mut pochoo...

Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
                                       Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain.....

                                         Jo log mere qad k barabar nahi aatay.....

                                         Ik Tum, k Tumhare liye Main bhe,Meri jan bhe.....

                                         Ik Main, k Mujhe TUM bhe muyassar nahi aatay...

                                         Jis shaan se lotay hain ganwa kar Dil-o-Jan hum,...

                                         Is tor to Haaray hue Lashkar nahi aatay....

                                         Koi to khabar lay mere dushman-e-jaan ki,...

                                         Kuch din se mere sehan main pathar nahi atay....

                                         Dil bhi koi aasaib ki nagri hai ke MOHSIN...

                                         Jo is se nikal jatay hain, murr kar nahi aatay.....


Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++

                                        Allama Muhammed Iqbal

Ejaaz hai kis ka ye gardish-e-zamana.........................
Toota hai asia main ye sehar-e-firangana....................

Tameer aashiyan se main ne ye raaz paya......
Ehel-e-nawa k haq main bijli hai aashiyana....
Ye bandag Khudaye, wo bandage gadaye......
Ya banda-e-Khuda ban, Ya banda-e-zamana.....
Ghafil na ho khudi se kar apni paasbani.....
Shayad kisi haram ka tub hi hai aastana.....
Ay La Illaa K waris, baqi nahi hai tujh main.....
Guftaar dilbarana, kirdaar kahiraana.....
Tere nigah se dil senon main kaanpte the.......
Khoya gaya hai tera jazba-e-qalandarana......
Raaz-e-haram se shayad “Iqbal” ba khabar hai.....
                                           Hain is ki guftugu k andaaz muhrimaana.....

Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
Ik bar aur dekh ker azad ker de mujhe "Mohsin".........
Ke mein aaj bhi teri pehli nazar ki qaid mein hoon............

Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)

++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++