December jab bhi ata hai...
Wo pagli...
Phir se beete mosamon ki
Talkhion ko yaad karti hai
Porana card parhti hai
Ke jis main os ne likha tha
Main louton ga december main
Naye kapre banati hai
Wo sara gher sajati hai
December ke her ek din ko
Wo gin gin ker betati hai
Jonhi 15 guzerti hai
Wo kuch kuch toot jaati hai
Mager pher bhi
Porani album ko khool ker
Mazi bolati hai
Nahi maloom ye es ko
Ke beete wakt ki khushian
Boht takleef deten hain
Mahz dil ko jalati hain
Yonhi den beet jaate hain
December lout jata hai
Mager wo khush-fehm si larki
Dobara se calender main
December ke maheene ke
Safhe ko moor ker pher se
December ke saher main doob jati hai
Ke akhir os ne likha tha
Main louton ga december main...
urdu peoms |