Hurt Poetry in Urdu Hindi and English

Poetry On December Sms - Urdu December Poetry

Naee hikayat muhabbaton ki
 
Shikayatoon ki 

Bhujhe bhuje se haroof le kar 

Kohar mein doobi seyyahoon ki ..
 
Warq warq per utaarna hai ...

Udaas shamoo ke phool chun kar ...

Suno December ...
Ussay pukaaro ...
Ussay bulaaoo ...

Suno December ... Ussay mila do ...

Ab is se pehlay ke saans niklay ...

Ab is se pehlay ke saal guzray ...

Wohi lakeerain wohi sitaara ...

Meri lakeeroon mein qaid kar do ...

Ya aakhri shab ke aakhri pal ...

Koi bara ikhtitaam kar do ...

Yeh zindagi bhi tamaam kar do ...


Suno December ... Ussay mila do...

Poetry of December - Urdu Best December Poetry

December ki sard hawaoo....

Us se milo to kehna....

K aaj bhe....

Us ki yaad....

Kisi k dil main...

Mustaqil...

Khaima zan hay....

Koi aaj bhe usay...

Uthtay,bethtay,sotay ,jagtay,....

Hanstay,rotay....

Yaad karta hay....


December ki sard hawaoo....

Us se milo to kehna...

K aaj bhe...

Kisi ki palkain...

Sir e sham he...

Us k intizar main...

Beech jati hain,...

Aaj bhe koi...

Us kay liye...

Udas rehta hay...

December ki sard hawaoon

Us se milo toa kehna...

K aaj bhe...

Us kay bin...

Sogawar guzertay hain,...

Aaj bhe...

Kisi ki aankhain...

Us kay liye...

Num rehti hain...

December ki sard hawao...

December ki sard hawao...

December ki sard hawao...

Urdu Poetry on December - Best Urdu Poetry - English Poetry sms

Suno

December ki thitharti huii shaamien..

Kohar ma lipti dhundaali si subhien..

Darakhton se girte huye..

Khushk zerd patte..

Wo gaaon ke tamaam raste..

Mohabbaton ke tamaam rishte..

Khayaal abad kerte hain..

Tumhein sub yaad kerte hain..


December Poems - Urdupoems

December jab bhi ata hai...
 
Wo pagli...

Phir se beete mosamon ki

Talkhion ko yaad karti hai

Porana card parhti hai

Ke jis main os ne likha tha

Main louton ga december main

Naye kapre banati hai

Wo sara gher sajati hai

December ke her ek din ko

Wo gin gin ker betati hai

Jonhi 15 guzerti hai

Wo kuch kuch toot jaati hai

Mager pher bhi

Porani album ko khool ker
Mazi bolati hai

Nahi maloom ye es ko

Ke beete wakt ki khushian

Boht takleef deten hain

Mahz dil ko jalati hain

Yonhi den beet jaate hain

December lout jata hai

Mager wo khush-fehm si larki

Dobara se calender main

December ke maheene ke

Safhe ko moor ker pher se

December ke saher main doob jati hai

Ke akhir os ne likha tha

Main louton ga december main...

urdu peoms

Poetry on December

کچھ لمحے نومبر کے

ہم نے یوں گزارے ہیں

موسم اسکی یادوں کے

تصویر میں اتارے ہیں


کپکپاتے ہونٹوں سے

ڈگمگاتی دھڑکن سے

ہم نے اپنے خالق سے

بس دعا یہ مانگی ہے


اب کی بار دسمبر میں

جب بھی بادل اتریں تو

بس یہی تمنا ہے


نفرتوں کی بارش میں

دشمنوں کی سازش میں

بس اسی گزارش میں


زندگی کو جینے کا

اختیار مل جائے

اے مرے خدا سب کو

اپنا پیار مل جائے
....!!

december poetry images

urdu december poetry

loo  aik saal orr judae mi guzar gaya 

mi apne sufaid bal gino december mi.....

alvida december poetry

poetry about december

Wo Jis'se Barish Pasand Na Thi...

Na Jane Kiyon..
 
Aaj Deir Tak Tanha,,,,
 
December Ki Barish Main..
 
Bheegta Raha...'
 
december poetry urdu
 

december urdu poetry

Teri Yaad, Tanhai, Khamoshi, Aur Behty Aansu....

Pehli Subha December ki kya kya Tohfy Lai hai....

Guzar Jata Hai Sara Saal Yun Toh......

Nahi Katta Magar Tanha December........

december sad poetry

Infolinks In Text Ads