Na chairho khilti kalyon, hanste phoolon ko ..
In urhti titliyon, aawara bhawron ko, ..
Tassalsul Toot jaay ga!...........
Fiza mehway sama'at hai, ...........
Haseen honton ko naghma-rez rehne do, ...........
Nigahaen neechi rakho aur mujassam gosh ban jaao ......
Agar junbish labon ko di, ..........
Tassalsul Toot Jaay ga! .............
Hawa say pat-tiyaan sargoshiyon mein mehave hain ........
Aur jhoomti shakhon ke jhoolon mein .........
Parindon ki chahak se sara sahil ..........
Sarmadi ehsas mein Dooba huwa ..
Sarshar-o-shadaan hai ............
Agar kankar bhi satah-e-aab pe mara ......
Tassalsul Toot jaay ga!...
Ufuq mein Doobte sooraj ka manzar ...
Iss bulandi se zara dekho .........
Issi rangeen kinaare par, .......
Shafaq sona luta-ay gi ........
Yoonhi tum be- hiss-o-saakit raho ........
Aise mein palkain bhi zara jhapkain .......
Tassalsul Toot jaay ga! ....
Wo khwabeeda hai, khwabeeda hi rehne do ............
Na jaane khwaab mein kin waaadiyon ki sair karti ho ....
Bulandi se phisalte aabsharon mein kahin gum ho ........
Falak- asaar choti par kahin meh'way tarranum ho ................
Agar awaz di tum ne .......
Tassalsul Toot jaay ga!............
Main shayar hoon, .......
meri fikr-e- rassa, ehssass ki uss satah par hai ..............
jiss mein khushboo rang banti hai .............
sada ko shakl milti hay .............
tassavvur bol uthta hai ...........
khamoshi gungunaati hai .....................
yeh wo waqfa hai aise mein, ......................
agar daad-e-sukhan bhi di ...............
tassalsul Toot jaay ga!...............
|
great december poetry in urdu |