Hurt Poetry in Urdu Hindi and English: Samundar mein samundar beh geya hai -december last nighte

Samundar mein samundar beh geya hai -december last nighte

Koi jazba adhoora reh geya hai,

December aansu’on mein beh geya hai,

Yeh dil khamosh ho kar reh geya hai,

Najane aaj woh kya keh geya hai,

Yeh aannkhain hain hamari kitni gehri,

Samundar mein samundar beh geya hai,

Tumhare sath wabasta tha sab kuch,

Siwaye yaad ke kya reh geya hai,

Palat kar dekhne per hum ne jana,

Dil-e-nadaan kya kya seh geya hai,

Bohat bheerr hai bazaron mein lekin,

Tera Arshad akela reh geya hai..

No comments:

Infolinks In Text Ads