Hurt Poetry in Urdu Hindi and English: urdu poetry 30

urdu poetry 30

yun hmko satane ki zarurat kia thi,
dil mera tor jane ki zarurat ki thi,
jo nahi tha ishq to keh dia hota,
humain yun aazmane ki zarurat kia thi.
Designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
nahi th azor uski sitam nawazion ka,
mjhe b hosle mere khud se mile,
meri aana kyun kehti hai bar bar mjhe,
wo muhabbat he kia jo ilteja se mile...
Designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
Pathar ki pooja kar bethe hum naadan the,
Teri aadat, Teri Fitrat se anjaan the,
Waqt ne hame khilona bana diya,
Warna hum bhe kabhe Mehfilon ki jaan the.
Designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
Kya Takalluf kare ham ye kahne me, jo bhi khush hai ham usse jalte hai,
Ho raha hoon main kis tarah barbaad, dekhne waale haath malte hai.
Designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
Mere ashq kahte hai honthon ki zuban, bahte rahte hai par ye khamosh rahte hai
aur in ashqon ki taqdeer to dekhiye, ye unke liye behte hai jo in aakhon me rahte hai.
Designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
Juda hain to kya hua doori to nahin, Baat bhi na ho aisi majboori to nahin. Nazar nahin aate ho aap to kya hua, Aakhon mein tasveer apki adhoori to nahin.
Designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
Udaasiyon se apni nikal kar to dekho, Zinda ho to, zinda reh kar to dekho; Apne liye bahut jee liye, aye aazad panchhi, Thodi der pinjre me reh kar to dekho.
Designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
Udas nahi hona kyunki main sath hu, samne na sahi par aas pass hu, palko ko band kar dil se yaad karna, main hamesha aapke liye ehsaas hu.
Designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rahe dono khamosh par baat karli. Mohabbat ki fiza ko jab khushk paya, in aankhon ne ro ro ke barsaat kar li
Designed by saddiq ur rehman saddiqi
keyon dil ky kareb aa jata hai koi.,,,,
keyon peyar ka ehsas jagat hai.,,,,
koi jab adat si ho jati hai dil ko us ki.,,,,
keyon dor buhat door jala jata hai.,,,,,
Designed by saddiq ur rehman saddiqi
 
Ye arzoo thi k kuch aisa bhe huwa hota,
Meri kami ne tujhe rula dya hota
Hum laut ate tere pass ik lamhe mai
Bus ik bar tere laboon ne mera naam tou lya hota
Designed by saddiq ur rehman saddiqi
Dil ki baatain likhin aur khat khula rehnay diya, jaane kyun rusvaiyon ka silsila rehne diya,
Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat, do Dilon ke darmiyan ek faasla rehne diya.
Designed by saddiq ur rehman saddiqi

No comments:

Infolinks In Text Ads